सोता रहता है “जागते रहो” का संपादक (भाग-2)
कुछ खास कारणों से इस स्क्रीप्ट के दूसरे भाग को पोस्ट करने में देर हुई, इसके लिए पाठकों से क्षमा मांगता हूं।
Scene 4
Characters: Charitra Verma, Ojha,
Diwakar, Sandhya, Anita, Rohit, aur Chetna.
Ent/day/ Charitra Verma’ cabin.
Diwakar,Sandhya, Anita and Rohit enters into the cabin and Chetana follow them. She too comes into the cabin. Charitra Verma listens the last sentence of Sandhya.
sanka ke bina patrakarit ho hi nahi sakati…
And opens his eyes and looks to Sandhya
Charitra Verma
Sirf sanka se hi kam nahi chalata …time ki pabandi bhi jaruri hai…Itana late !!kaise chalega desh??
Rohit
Sir, ab tak jaise chalate aa raha hai…
Chartra Verma
Kya matlab ??
Aswasan aur vadon se…
Chrita Verma
Apani bakwas band karo aur meeting shuru karo..(looking to Ojha, who is still sleeping in his chair, in angry tone)…is admi ko jago…yeh jagate raho ka daftar hai…
(Listening Charitra Verma’s high tone, Ojha awakes)
Ojha
Main so nahi raha hun….chintan kar raha hun…chay aur biskut aa gaya..?
Chritra Verma
Jab tak meeting khatam nahi ho jati , tab tak koi chay aur biskut nahi..sirf kam aur kam…(coming to normality)…aap log baith jayiye. ..
(Diwakar, Sandhya, Rohit, and Anita sits on chairs, while Chetane is still standing there. Charitra Verma looks to her)
Charitra Verma
Tum kaun ho?
Chetana
Ji mujhe Charitra ji se milana hai….mujhe aaj yanha join karana hai (taking out appointment letter form her bag, she advances it to Charitra Verma)
Charitra Verma
Chairtra Verma to main hun
(Looking to the letter)…Philhal tum yanhi baitho…jagate raho family me tumhara swagat hai …
Chetana
(sitting on a chair) Thank you sir
Verma
Yeh thanks vanks yanha nahi chalega…..Hindi ka akhabar hai…
Chetan
Sorry sir
(Verma looks to her and then turns to other people)
Pichale kuch diona se bijali katauti ko lekar shahar me afra tafari machi hai…hum chahate hai ki is per kuch vishesh kiya jaye…bijali bibhag kaun dekh raha hai…
?
Diwakar
Main…
Charitra Verma
Bijali bibhag per ek special report do…rutine ki khabron se kam nahi chalega..hame sirf samsya ka ullekh nahi karana hai, balki iske jaro tak pahucha hai…Khoji khabre do..yahi sachi patrakarita ka takaja hai….
Diwakar
AC…sir.
Charitra Verma
AC !!
Diwakar
Ji sir, (He denotes to the AC in the cabin)
Charitra Verma
Yeh AC to thik kam kar raha hai..(He turns his face to AC, and feels the coolness with his close eyes and sing)
Sili sili andi hai hawa…kithe koi ronda howega…
Diwakar
Sir, is sili sili hawa ke liye bijali bibhag aur yanha ke logo ko rona par raha hai…
(All looks to Diwakar)
Amir khusaron ki tarha paheliya bujhana band karo aur sidhi bat karo…
Diwakar
Sidhi bat mirchi ki tarah lagati hai..
Sandhya
Yeh jagate raho ke daftar hai…jo nirbhik patrakarita ke liye jana jata hai…aur isake mahan sampadak Charitra Verma tumhare samane baithe hai…
(Charita Verma feels proud)
Diwakar
To suniye ..is office me bijali bibhag ne sirf ek AC lagane ki ijajat di hai..aur aap yanha char-char AC chala rahe hai..ab main likh dun ki swantra, nirbhik akhbar ke daftar me bhari paimane per bijali ki chori ki ja rahi hai aur isake sutradhar hai mahan sampadak Charitra Verma…
(Here full dramatic action is needed.)
Chairtra Verma
(Trying to contrl his coolness) yanha char AC kaya chala di , tumane to mujhe bijali mafiaon ke sargana bana diya…tumhe bina notice ka hi bahar ka rasta dikha sakata hun..(becoming angry) is daftar ko chorkar bijali samsya per ek special report nikalo..(Looking to the other people) apani bit per kam karate huye tum log bhi bijali per ek-ek report dopura ek page nikalana hai mujhe..sham sat baje tak sabhi khabar mere desk per hone chahiye…is page ko Purusottam dekhenge…kanha hai vo…
Rohit
Sir unako bacha huya hai , hospital me hai…(Realizin his mistakes) mera matlab hai unaki patni ko bacha huya ya..
(A phone on the desk rings. Charitra Verma looks to the phone and taking it up, to Diwakar)…Chetana ko bhi apane sath laga lo…dekho isase kaya kam le sakate ho…
(Having the reviver to his ears) Helo!…Aap bilkul chinta na kare madam..main abhi apane reporter ko laga deta hun.
(putting down the phone) meeting khatam…Diwakar ko chor kar baki sub nikao…
(All of them goes out one by one)
Diwakar
Meri bit ki koi khabr hai kaya??
Charitra Verma
Khabar nahi kam…Akhbar ke Gupta Saheb ke madam ke phone tha….Aaj subah se unake ghar me bijali nahi hai….kuch bhi karo lekin unake ghar me bijali turant aana chahiye…
Diwakar
(In a complaining tone) main ek reporter hun…yeh mera kam nahi hai…
Charitra Verma
(In the same tone)… aur main sampadak …aur sampadak banana ke liye malik ke grih vibhag ko khush rakhana jaruri hai…
Cut to….
Scene 5
Characters : Rohit, Anita, Sandhya, Ojha, Chetana, Bhandari and Diwakar.
Ent/Day/ in side office
(Rohit, Anita, Sandhya, Ojha and Chetana comes out of the cabin. After little while Diwakar comes out. He is little worried)
Ojha
(to Diwakar) Sampadak ne tujhe Gupta ji ke ghar ki bijali supply durust karane ke liye na kaha hai…?
Diwakar
(with little surprize) Tujhe kaise pata…??
Ojha
Abe chirkut tujhe is sampadak ke bare me pata nahi…pahale yeh ek kapare ki dukan me baitthta tha…isaka ek bhi photographer hai…usi ne Gupta ji se kah ke ise sampadak banwa diya…Gupta ji ke ghar me celender se lekar sabaji tak phuchane ka kam isi ka hai…
Diwakar
Tumhe yeh sub kaise pata ??
Ojha
(taking a gutaka out of his pocket)Holi aur dushara me main isi ke dukan se kapare khridata tha…us waqt main ek chirkut akhabar me kam karata tha..jab yeh setting karake yanha ka sampadak ban gaya to mujhe bhi le aaya…
Sandhya
Leking Charita ji to patrakarita ke bare me achi achi baten karate hai..
Ojha
(Turning to her) Abhi tumane Charitra ji ka pura charitra dekha kanha hai….
(to Diwakar) Pahale Gupta ji ke ghar ki bijali thik karwao phir kahabar khojo…
Anita
Main to ja rahi hun…(She turns to gate, but Rohit stop her)
Rohit
Itani jaldi kaya hai…ek round chay ho jaye….
(Listenin about tea, Ojha looks at he pouch of Ghutkha and takes it back in his pocket)
Lekin pilayega kaun?
Rohit
Aaj chay pilane ki bari Sandhya ki hai ..
Sandya
(Quickly) mere pas pise nahi hai…
Ojha
(Looking to Chetana) Are ye ladaki paise degi…kaya nam hai tumhara ?
Chetana
Chetan
Ojha
Aaj hi isane office join kiya hai…is khushi me ise party to dena hi chahiye…kayon?
Chetana
(with little hesitation) Han thik hai…main de duni…
(Bhandari comes from the door)
Ojha
(Looking to Bhandari)
Hum logo ko chay pila do….aur samose bhi le lena…
Cut to….
Scene 6
Characters : Rohit, Anita, Sandhya, Ojha, Chetana, Bhandari, Purusotam and Diwakar.
Ent/Day/ in side office
(All of them are sitting together and taking tea. There was a noise outside office)
Ojha
(To Bhandari) ye bahar kaya ho raha hai ..?
Bhandari
Kuch log halla macha rahe hai..
Ojha
Halla !! koi mar gaya kaya ?
Bhandari
Bijali-vijali ka mamala hai…bahar sampadak khare ho kar sampadak se milane ki mang kar rahe hai…
Ojha
Yadi Verma ji ko do char hath lagane ke mood me hai to unhe andar bula lo….main unako jakar bata hun ki kugh log unaka nagrik abhinandan karana chahate hai…
Sandhya
(In angry tone, looking to Ojha) tum jis thali me khate ho usi me ched karate ho…
Ojha
Yanha chay pine ke paise nahi jut rahe hai aur tum thali me khane ki bat kar rahi ho…(To Bhandari) ek kam kar inake neta ko bula lao..
(Bhandari goes out, and meet Purusotam at the gate)
Bhandari
(To purusotam) Shub prabhat purusottam ji…
Purusottam
Baithak sampan ho gai..? mere agaman me vilambh ho gaya…mitragan kanha hai?
(Bhandari denotes to them and goes out. Purusottam advance to them)
Purusttam
(Coming to them) Sabhi devion aur bhrataon ko mera abhiwadan.
All of them
Namskar purusottam ji.
Ojha
Ghar me naya mehman mubark ho…aapako to apane ghar pe hona chahiye
Purusottam
Praswy pira ke samay main apani patni ke hi sath tha…subkugh kushalata purwak sampann hone ke paschat main vonha se prasthan kiya…
Anita
(Quickly finishing her tea)Tum log baten karo main chalati hun
Diwakar
Main bhi sath chalata hun…sham ko khusat sampadak Gupta ji ke ghar me bijali ke bare me puchega…upper se ek special story bhi chahiye…
(He stands up)
Chetana
(To diwakar) sir, main kaya karu…sampadak ji ne mujhe aapake sath kam karane ko kaha hai…
Diwakar
Shahar me logon ko bijali cut se kaya paresani ho rahi hai us per ek report banao….sham ko dekhuna.
(Diwakar goes with Anita)
Rohit
(Following them)
Mai bhi crime ki ek khabar nikal lata hun.
(To sandhya) tumhe kanhi chor dun…?
Sandhya
Mujhe to mahila aayog ke dhaftar me jana hai…Adhayksha ne bulaya hai…sweater k ek design per kam kar rahi hai…
Rohit
Mahila aayog me sweater ke desize per kam chal raha hai…achi khabar banegi..
Sandhya
Thumhe to sirf khabar hi dikhati hai…ab chalo bhi…
(All the four goes away. Bhandari too wants to go with them but Ojha stops him)
Ojha
Bhandari sahib aap kanha ja rahe hai…jab shikar khud chalkar aa raha hai to use andar le aayie..hangamino ke neta ko bulayie…
Purusttam
Main jara sampadk ji ke darshan kar lun..
Ojha
Jarur
Cut to……
Scene 7
Characters: Ojha, Bhandari, Leader Khosala, and Chetana.
Int/day/ inside office.
(Ojha and Chetana are sitting together. Now chetana feels free to talk to Ojha.)
Chetana
(Enthusiastically) Sir, aap to bahut dinon se patrakarita me hai…kuch mujhe bhi sikhayie na….
Ojha
Nai chawal ho…dhire-dhire khud pak jaogi….
(Bhandari comes with Ojha)
Bhandari
(To khosala) ye yanha ke bare repote ojha ji hai…aap khud bat kar lijiye…
Khosala
Ojha ji namskar, Is shahar me log bijali cut se paresan hai…humlog bijali Mantri ko gyapan de chuke hai…lekin unase mulakat nahi hui..hum chahate hai ki aap hamari samsyaon ko apane akhabar me rakhe..
Ojha
(Denoting to a vacant chair )
Acha neta banana chahate ho to pahale kursi pakarana sikho..
(Khosala sits on the chair)…Tumhari khabar chap denge…chunao ladane ki tayari kar rahe ho kaya?
Khosala
(With little hesitation) society me seceratry ke liye khara ho raha hun….
Ojha
Badhai ho…is akhbar me tumhai khabar to lagatar chapani chahiye…
Khosala
Yadi aisa ho jaye to aap jo kahenge main karung
(Now Chetana is taking deep interest in their talking, but keeping herself out of the talk.)
Ojha
(Try to evaluate him) kam kaya karate ho….?
Khosala
Ek kirane ki dukan hai…
Ojha
Tumhare pas ek photo hai…?….Akhabar me chapane ke liye…dukan thik thak chalati hai….?
Khosala
Photo to mere pas nahi hai…dukan thik thak chalati hai…
Ojha
(Taking out a list form his pocket)
Meri bivi ne samano ki yeh suchi di thi….kam ke chakkar me main bhul hi gaya
(Looking to Khosala) Bhandari ko bhej raha hun…sare saman de dena, Aur han apani photo bhi, taki akhabar me laga saku…
(To Bhandari)..tumhe jo kuhc chahiye le lena…aur ye saman mere ghar phucha dena…
Khosala
(with little hesitation)Vo sub to thik hai ….lekin paisa?
Ojha
Are tum jaise ubharate neta se main pasise thore hi lunga..sham ko intajam kar dena (whith his hand he denotes about drinkin )
Khosala
(Feeling himself cheated)
Kar dunga….jarur kar dunga..
Bhandari
(Taking the press release from Khosala’s hand and giving it to Ojha)
Mujhe apane balon ka saf karane ke liye sampu chahiye
(Chetana looks to them surprizingly)
Cut to…
Scene 8
Characters : Diwakar, Junier Engineer Pawan, and two people.
Ent/day/ Chief Engneer’s office
(Diwakar enters into the Chief Engneer’s cabin. Chief Engneer Pawan is sitting is sittng on a bench alown with two people. He looks to Diwakar with horror. On the table there was a name plate, written Pawan Rastogi)
Diwakar
(Looking to name plate)
Pawan Rastogit kanha hai..?
Pawan
(He is horrified) kaya bat hai….phir kanhi blwa huya kaya…aap kaun hai?
Diwakar
Mujhe pawan rastogi se milana hai…aur shahar me bijali katauti…
Pawan Rastogi
Abhi kuch der pahale logon ne do karmcharion ki jabardast pitai ki hai..Rastogi sahib ka koi pata nahi hai…aapako unase kaya kam hai…?
Diwakar
Main jagate Raho ka reporter hun…bijali cut per khabar likh raha hun…isi silsile me unase bat karani hai..
Pawan Rastogi
(Being relaxed) Thanks God ! maine samajha ki balwai phir aa gaye..(maintaining himself)…main hi chief engneer Rastogi hun..
(He shakes hand with Dwakar)
Diwakar
(Denoting to chair) aap apani kursi per kayon nahi baithe hai?
Pawan
Mujhe apani jan gawani hai kaya? Log nameplater dekhkar ke marate hai…ab bijali hai nahi to main kanha se dun…
Diwakar
Bijali chori per rok lagakar is sankat se nipata ja sakata hai…
Pawan
(Angrily) tin mahine me bijali choron ne hamare 8 karmcharion ki haddiya tor di hai..ve log bijali chori ke khilaph jari abhiyan me shamil the…ab to koi adhikari is abhiyan ka charg lene ke liye bhi tayar nahi hai..
Diwakar
Hamare akhabar ke malik ke ghar ki bijali gul go gai hai…kuch kijiye…
Rastogi
Yadi katauti wale ilake me hai to hum kuch nahi kar sakate..
Diwakar
Kisi adami ko bhej kar ek bar check karwa le..
Rastogi
Vo to mani bhej dunga…mere khud ke ghar me andhera hai..bijali hi nahi hai..supply hi nahi hai, to dunga kana se..upper se log hangama karate hai..is bare me apane akhabar me tum kayon nahi likhate…
A man
(To Diwakar) Logon ne inaka dimag kharab kar diya hai..bahaki bahaki baten karane lage hai..din me hi bhayank sapane dekhane lage hai..abhi kuch der sapne me kuch log inhe bijali ki nangi tar sata rahe the…
Second man
(Laughing) Inaki jan bach gai kayonki tar me bijali nahi thi….ha ha ha
The First man
(To Diwakar) Patrakar shaheb aap samaj ko aina dikhayiye…unhe batayie ki bijali cut ko lekar gussa ka jo current jo unake andar daur raha hai , vo kitna galat hai…
Diwakar
(To Rastogi) Dekhiye, main andar ki bat bata hun..mere office me sirf ek AC chalane ka licence hai…jabaki vonha per 4 AC chalaye ja rahe hai…aap log vonha chapa kayon nahi marate?
Rastoghi
(surprinzly)Akhabar ke daftar me bijali vibhag ka chapa !! kayon meri naukari lene per tule ho….
Diwakar
(In a calm but assurng tone)
Kuch nahi hoga , balaki isase aam adami ke bich me acha sandesh jayega…is tarah ki chori her bare log kar rahe hai…is tarah ke abhiyan chalake aap bhi khairnar ki tarha mahan ban jaoge…
Rastogi
Bat to thik hai, lekin kanhi mamala phans gaya to gardan nap jayegi…
Diwakar
(In a humorous tone) Vaise bhi tum kanha sans le rahe ho….meri mano to risk le lo….
The first man
(Enthuistically) yeh thik kah rahe hai sir?
Rastogi
Tum apane hi akhabar me Chapemari ki bat kar rahe ho….mamala samjh me nahi aa raha hai….
Diwakar
Hum patrkar log to janata ke liye kuch bhi kar gujarate hai…apana daftar kaya chij hai….
Rastogi
(Becoming happy) Vah kaya sprit hai….(Looking to his men) Aaj hi chapne ki tayari karo.
t he end.